Gharara ek indian dress hai jiske teen important part hai. Gharara pant, kurti and dupatta. Iska origin hua tha banaras se. Ise specially shahi parivaar ki auraten hi pehna karti thi. Kyon Ki ye pure banarasi fabric se banta tha jispe bahut hi expensive hand work hota tha. Isliye aam log ise afford nahi kar paate the. So us time ki shaahi families me hi inhe pehna jata tha. Par ab ye aam logo me bhi kaafi popular ho chuka hai. Ye usually pakistan aur uske aas paas ke region me pehna jata hai. Bharat me bhi muslim community ki aurte is poshaak ko pehnti hai.